Moon With Robe of Gold

Chand, Jo Soorat Gar-e-Hasti Ka Ek Ejaz Hai
Pehnaye Seemabi Qaba Mehv-e-Kharaam-e-Naz Hai
This moon which is a miracle of the Lord of the universe
Clad in the robe of gold is slowly and proudly strolling

Charkh-e-Be-Anjum Ki Dehshat-Naak Wussat Mein Magar
Bekasi Iss Ki Koi Dekhe Zara Waqt-e-Sehar
But in the frightening vastness of the starless sky
Its helplessness is worth watching at time of dawn

Ek Zara Sa Abar Ka Tukra Hai, Jo Mehtab Tha
Akhri Ansu Tapak Jane Mein Hi Jis Ki Fana
What was the moon is a mere piece of cloud
Whose destruction is in the last tear drop

Zindagi Aqwam Ki Bhi Hai Yunhi Be-Etibar
Ranghaye-e-Rafta Ki Tasveer Hai Un Ki Bahar
Similarly unpredictable is the life of nations
Their glory is a picture of the happy times gone by

Iss Zayan Khane Mein Koi Millat-e-Gardoon Waqar
Reh Nahin Sakti Abad Tak Bar-e-Dosh-e-Rozgar
In this world no nation however prestigious it may be
Can continue its existence till the end of time

Iss Qadar Qoumon Ki Barbadi Se Hai Khugar Jahan
Dekhta Be-Itnayi Se Hai Ye Manzar Jahan
So much accustomed to nations’ destruction is the universe
That it watches this scene with indifference

Aik Soorat Par Nahin Rehta Kisi Shay Ko Qarar
Zauq-e-Jiddat Se Hai Tarkeeb-e-Mazaj-e-Rozgar
Nothing stays the same without change
The universe’ nature is made of change

Comments

Popular posts from this blog

Interview Questions

20 Things to be Learned From Larry Page Google Founder

Business Tips